Aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ata karna
Aye Noor-e-Khuda aakar ankhoo me sama jana
Ya dar pe bulaalena ya khaab me AA jana
Aye parda nashi dil ke pardey me raha karna
Jab waqt e nazah Aye deedar ataa karna
Aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Mehboob Ilaahi sa koi na haseen dekha
Ye shaan hai unn (Ap SAWW) ki K saaya bhi nahi dekha
Allah ne saaye ko chaha na judah karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Main qabr andheri me gabraoon ga jab tanha
Imdaad meri karne aajana Rasoolallah (S.A.W.W)
Aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Roshan meri turbath ko lillah zara karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Chehre se diya paaye in chand sitaaro ne
Us dar se shifa paaye dukh dard ke maaro ne
Ataa hai inhn saabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Mujrim hoon jahaan bar ka
Mujrim hoon jahaan bar ka
Mehshar me bharam rakhna
Rusva e zamana houn daman mein chupa lena
Rusva e zamana houn daman mein chupa lena
Maqbool dua meri mehboob e khuda karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Add Your Comments